Saturday 15 November 2014

एक सुबह (EK SUBAH)

It's been a long long time since a Hindi poetry danced out from the quill. Somehow I found this Romantic Hindi Poem swaying in my mind.



***



Kuchh bechain sa hai aaj mann mera
Kehta hai pyaas jagi hai aaj, arse baad.
Teri aankhon ka deedaar ho jaaye
To chain aa jaaye.

Har wo lamhe kaid hain aaj bhi is zehen mein,
Jab jab tumhari nazro se yeh nazar mila karti thi.
Kuchh uthti, kuchh jhukti sharma ke
Fir chup chaap se ek muskaan khila karti thi.

Aaj ek baar phir yeh subah mere kaano mein
Kuchh haule se hidayat si de gayi.
Chidiyon ki chehchehat bhi
Aaj guftagu mujhse kar gayi.

Phoolon ne dil khol ke rakh diya apna
Ped bhi jhoomne lage hawaaon ke sang
Fir ek baar subah ne kaanon mein kuchh kaha.
Thandi aahon ki wo fusfusahat kuchh bechain si lagi.

Shayad yehi kehna chahti thi mujhse
Ki sabki subah to ho gayi hai
Par meri subah to ab bhi khwaabon ki duniya saja rahi hai.

Jaao koi jaga do use
To zindagi mein aaj khubsurti ka ujaala ho jaaye.

© Shreyansh Chouradia
__________________________________________________

कुछ बेचैन सा है आज मन मेरा
कहता है प्यास जागी है आज, अरसे बाद.
तेरी आँखों का दीदार हो जाए
तो चैन  जाए.

हर वो लम्हे क़ैद हैं आज भी इस ज़हन में,
जब जब तुम्हारी नज़रो से यह नज़र मिला करती थी.
कुछ उठती, कुछ झुकती शरमा कर
फिर चुप चाप से एक मुस्कान खिला करती थी.

आज एक बार फिर यह सुबह मेरे कानो में
कुछ हौले से हिदायत सी दे गयी.
चिड़ियों की चहचाहट भी
आज गुफ्तगू मुझसे कर गयी.

फूलों ने दिल खोल के रख दिया अपना
पेड़ भी झूमने लगे हवाओं के संग
फिर एक बार सुबह ने कानों में कुछ कहा.
ठंडी आहों की वो फुसफुसाहट कुछ बेचैन सी लगी.

शायद यही कहना चाहती थी मुझसे
की सबकी सुबह तो हो गयी है
पर मेरी सुबह तो अब भी ख्वाबों की दुनिया सज़ा रही है.

जाओ कोई जगा दो उसे
तो ज़िंदगी में आज खूबसूरती का उजाला हो जाए.

© श्रेयांश चौरडिया

***

For more hindi poems click here

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...